main nahi jaanti kaun ho tum
mili nahi tumse, dekha nahi tumhein
par tumhari baton mein
tumhare khayaltaon mein
ajeeb-sa apnapan hai
is duniya ki gehraaiyon mein
in maati ke putlon mein
tum alag se ho
meri hi tarha lagte ho
kabhi-kabhi sochti hun
tumhein khuda ne fursat mein banaya hoga
na jane kyun tum farishte se lagte ho
tumhaari baton se hi itna pyaar
jhalakta hai to ankhon se to
nasha ho jayega
jab tumhaare andar ka khuda
tum se mil jayega
pehchaan loge tum use bhi
kabhi na kabhi
tum apne se zyada
apnon ka sochte ho
aur tum bhi meri tarha
har kisi ko apna maante ho
vaise main tumhe itna nahi jaanti
par itna zaroor jaanti hun
ki tum mein kuch hai
jo aur kahin nahi
isiliye to
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeletekeep smiling!!!:))))
DeleteThis comment has been removed by the author.
Deletekya baat hai, require my smile here also.... :-) ;-)
ReplyDelete:)
DeleteThis comment has been removed by the author.
DeleteThis comment has been removed by the author.
Delete