Monday, April 29, 2013

Mera Pyaar

Tum samjho na samjho mera pyaar
par main karti rahungi pyaar
chaahe hon raaste juda 
par main karti rahungi pyaar 

mere har ik lafz mein 
tumhaare liye pyaar chhalkega
tum suno na suno
par main karti rahungi pyaar

chahe hum milein na milein
chaahe saath rahein na rahein
chaahe mil jaaye haar
par main karti rahungi pyaar

par jab pyaar hai
to kya jeet aur kya haar
har pal 
har ghadi
har lamha
har din 
har raat
har maheene
har saal
har waqt
main karti rahungi pyaar
main karti rahungi pyaar


Sirf pyaar hi pyaar


Tu mera pyaar aur main tera pyaar

sirf pyaar hi pyaar

chaahe tu us paar chaahe main is paar

par sirf pyaar hi pyaar

chaahe tu gaya haar chaahe main gayi haar

sirf pyaar hi pyaar

chaahe bole sansaar chaahe roke sansaar

sirf pyaar hi pyaar

tu mera sansaar aur main tera sansaar

sirf pyaar hi pyaar

tujhe bhi hai khumaar mujhe bhi hai khumaar 

sirf pyaar hi pyaar

na koi jeet na hi koi haar

sirf pyaar hi pyaar


sach

Sach hi to kaha tha hum ne
hum bhi pyaar karte hain
par tum to humein jhootha samajhte reh gaye
jhooth bolne wale to aage nikal gaye
aur hum peechhe hi reh gaye

aankein band kar bhi dekha tumhein hi humne
tum ajnabi the par apna samjha humne
par tum to humein jhootha samajhte reh gaye
jhooth bolne wale to aage nikal gaye
aur hum peeche hi reh gaye

itne pagal hain tumhare pyaar mein
ki tumhaari rooh tak ko choo lete
to dhakka agar maarte tum
to use bhi pyaar hi samajhte hum
tum ilzaam lagaate rahe
aur hum khaamosh chale gaye
apne humsafar ki baton se jab itne lajjit ho gaye
to hum khatm ho gaye
tumse kiya hai saccha pyaar
ye kehte kehte rooh ko wahin chhod gaye
par tum to humein jhootha samajhte reh gaye
jhooth bolne wale aage nikal gaye
aur hum peechhe hi reh gaye...

Khatm hun main

kaise samjhaati tumhein
mera pehla pehla pyaar hai
yun to tum samajh gaye
ki tum ho mujh mein
tumhaare be-inteha pyaar ki
karzdaar hun main
jo sapnon mein na socha tha
tum ne utna pyaar diya mujhe
par kyun tumhein bharose par bharosa
nahi raha
kyun apne pyaar ko shak ke
sayon mein gher liya
tum ne ik pal bhi na socha
ki tera masoom-sa pyaar
aanch aane par toot jaayega
samajhti hun tere haalaat
par kar di na tu-ne wahi baat
logon ki baton se meri tulna kar
asaani se tod diya mujhe
mere dil ki gali mein 
tu ab na aana
khatm hun main is jahaan mein
shak ki deewaron mein
jhooth ki buniyaadon mein
tum itna doob gaye
ki mera nishaan hi khatm kar gaye
agar mere pyaar par bharosa na tha
to mujh se kehte to sahi
main dil nikaalkar tumhari
hatheli mein thamaati
aur kehti
poocho is se ye dhadakta hai kiske liye
tere liye sirf tere liye
is tarha iski awaaz gunjti
dekh na,
ab to ye dhadakta bhi nahi
isiliye to kaha,
mere dil ki gali mein
ab na aana
khatm hun main 
is jahaan mein
maanti hun main 
teri tarha
apne pyaar ko jata nahi saki
main nahi thi kehti
par ek pal to dekhta meri nazron mein
kehti ye bhi ki main hun to
sirf tere liye
par khair,
shayad main hi qabil nahi
tere aparivartit pyaar aur
amulya bharose ke liye
bas isiliye,
mere dil ki gali mein 
tu ab na aana
khtam hun main is jahaan mein!