Monday, April 29, 2013

Khatm hun main

kaise samjhaati tumhein
mera pehla pehla pyaar hai
yun to tum samajh gaye
ki tum ho mujh mein
tumhaare be-inteha pyaar ki
karzdaar hun main
jo sapnon mein na socha tha
tum ne utna pyaar diya mujhe
par kyun tumhein bharose par bharosa
nahi raha
kyun apne pyaar ko shak ke
sayon mein gher liya
tum ne ik pal bhi na socha
ki tera masoom-sa pyaar
aanch aane par toot jaayega
samajhti hun tere haalaat
par kar di na tu-ne wahi baat
logon ki baton se meri tulna kar
asaani se tod diya mujhe
mere dil ki gali mein 
tu ab na aana
khatm hun main is jahaan mein
shak ki deewaron mein
jhooth ki buniyaadon mein
tum itna doob gaye
ki mera nishaan hi khatm kar gaye
agar mere pyaar par bharosa na tha
to mujh se kehte to sahi
main dil nikaalkar tumhari
hatheli mein thamaati
aur kehti
poocho is se ye dhadakta hai kiske liye
tere liye sirf tere liye
is tarha iski awaaz gunjti
dekh na,
ab to ye dhadakta bhi nahi
isiliye to kaha,
mere dil ki gali mein
ab na aana
khatm hun main 
is jahaan mein
maanti hun main 
teri tarha
apne pyaar ko jata nahi saki
main nahi thi kehti
par ek pal to dekhta meri nazron mein
kehti ye bhi ki main hun to
sirf tere liye
par khair,
shayad main hi qabil nahi
tere aparivartit pyaar aur
amulya bharose ke liye
bas isiliye,
mere dil ki gali mein 
tu ab na aana
khtam hun main is jahaan mein!



2 comments:

  1. bahut achha likha hai par bahut dard bhara hai...
    Well done anyways Kripacharyaji!

    ReplyDelete
    Replies
    1. ahaan kripacharya ji...lolz
      hmm tha to dard bhara!
      well...thanks for liking!

      Delete