Saturday, March 30, 2013

hakeekat

kabhi- kabhi jo de dikhaayi
wo nahi hoti sacchayi
sach to wahi jaane
jis ne ye duniya bnaayi

uske peeche ka raaz
janoge tab hi
jab kisi ko samajhne ka
hoga aagaaz

keh dena hai asaan
ki uska hua hai apmaan
uski gayi hai shaan
par jab baat ''main'' par aayegi
tab mitegaa abheemaan
tab jaayegi jaan

is-se pehle hi jaan lo
ek doosre ke hath thaam lo
mila lo kismat
jaan jaaoge hakeekat


{hum sab ne suna hai-
kuch to log kahenge,
logon ka kaam hai kehna,
ye log hum hi hain.jaane anjaane mein kisi ko kuch bhi keh jaate hain par hum to log hain hmara kaam hi kehna hai, sachhayi to wahi jaanta hai jis par beet-ti hai.
to is poem ke zariye yahi message dena chahungi ki har koi apne aap ko sahi samajhta hai par fir bhi kabhi kabhi hum aisa kuch keh jaate hain jo galat ho isliye humein apni galti ko man-na chahiye aur aisa kuch galat na kehne ki koshish karni chahiye.}

No comments:

Post a Comment