Thursday, December 27, 2012

speculation

naya din
naya safar
nayi umang
nayi aas

par phir beeta hua kal
saaye ki tarhan sath hai
bhulana hai mushqil
par ye nahi manzil
sath le kar chalungi
wo kal
wo jazba
wo junoon

mar mitungi
kho jaungi
uski aahon mein
is josh ke sath
uski bahon mein

na jane kahan hai wo
hai bhi ya nahi
hoga wo kahin
hota hai ehsaas
kehti hai meri har saans

rehna tu paas
tu hai koi khaas
kehti hai meri har saans

naya din
naya safar
nayi umang
nayi aas

----------------------------------------

No comments:

Post a Comment