Saturday, December 29, 2012

khwaab

aaya tha koi ban ke umang
chaya tha koi ban ke tarang
chali mai uske sang
le kar hazaron rang
toota wo is tarha
main reh gayi dang
khabar na thi uske aane ki
na hi jaane ka tha heesaab

wo bas tha ek khwaab

khud hi aata hai
aur fir chala jata hai
karta hai majboor yahi
dil ko yahi tadpata hai
dhun thi iski alag hi
jaise ho koi rabaab

wo bas tha ek khwaab

adhoora ban kar aata hai
poora hone ko kehta hai
kabhi poora ho jata hai
kabhi adhoora hi reh jata hai
na jane kab aata hai
na jane kab chala jata hai
doob jati hun iske rang mein
jaise nashe mein bhang ke
jane par hota hai ye ehsaas
ab nahi hai wo paas
reh jati hai thodi-si aas
par fir kehti hun yahi

wo bas tha ek khwaab

4 comments: