Friday, January 4, 2013

main aur meri tanhayi

ajeeb duniya hai ye,
jis mein,

main aur meri tanhayi,

rehte hain.

hoti hun jab bhi udaas,
chali aati hun iske paas,
yahan sirf reh jate hain,

main aur meri tanhayi.


yahan aati hun to,
dete hain mera sath,
sirf mere aansu,
or unhein ponchne ke liye,
mere hath.
ye aksar aa jate hain wahan,
sirf reh jate hain jahan,

main aur meri tanhayi.


is duniya se waqif nahi koi,
jahan main hun khoyi,
jahan sirf reh jate hain,

main aur meri tanhayi,main aur meri tanhayi...

3 comments:

  1. na ho udaas jab pass ho tere teri tanhai ,
    q k yeh wohi hai jisne logo k jhoote pyyar ki tasvir tujhe dikhai,

    sirf jhoote log nahi baste is duniya me,
    q k duniya shaitan ne nahi, khuda ne banai.... khuda ne banai..... khuda ne banai..

    kar le pyar khud se itna,

    k tjhe tanhai na mile jine ko,
    aur maza aa jaye haste haste aare ghum pine ko !!!!!!!

    trust in you !!! before trust in god :))) lines for you :))) cheer up with gifted single life :)))))

    ReplyDelete
  2. yeah!...right!!
    thanks a lot...:))))

    ReplyDelete