Friday, January 4, 2013

udaasi

kabhi-kabhi udaasi,
apni-si lagti hai,
jab nahi aati to,
yaad aati hai iski,
na jane kyun?
shayad,
aadat si ho gayi,
iske rang mein rangne ki,
iske jaane ke baad,
iski kami khalti hai,
na jane kyun udaasi,
apni-si lagti hai,
har pal jab ye aati hai,
naya dard de jaati hai,
jab nikalti hai dard se aah,
tab shant ho jati hai,
na jane kyun udaasi,
apni-si lagti hai...

9 comments:

  1. Teri udasi,
    Mujhe apni si lagti hai.
    Jaane hi kyon,
    Par tu kaafi door rehti hai.
    Kab tujhse milunga,
    Din-raat dil ye sochta rehta hai.
    Tujhe gudgudaunga thoda,
    Aur tu muskuraegi ye mujhe vishwas hai.

    ReplyDelete
  2. udasi hai zindagi ka such,
    mat miss karo isse soooo much....

    q k yeh uni k pass ati h jo ise yaad karte h very much,
    aur iske ane se khud bach :)))


    soch q thama hai udaasi ne tera daaman,
    ya tune he pakada hai usi ka aangan ??

    dekh hasti hui duniya ko, joh hai sath tere,
    kya pata tujhe roti dekh kiski nhi bhujti hogi pyaas. !!!
    .
    .
    .
    .
    .
    .
    .

    aur khush kar de yeh aasman apni dil ki muskruati patang se,
    koi dori na kaat payega is pyaar ko udaasi ke bandhan se.... :)))

    THINK ABOUT LIGHT , INSTEAD OF DARKNESS :)))

    ReplyDelete
    Replies
    1. exactly!
      sahi kaha...mera dialogue mujh hi pe...lol
      dusron ko samjha leti hun par jab khud ki bari aati hai na to...
      par mere dost hain na
      ye mujhe yaad dila dete hain sab kuch, aur sare gam ek hi pal mein door ho jate hain
      so yes!
      think about light, instead of darkness...

      Delete
    2. sirf meri he taarif thodi atul ki bhi karle :)))

      Delete
  3. thanks a lot...atul sharma n rahul verma!!!
    you both are superb friends!!!
    keep smiling!
    be happy!!
    take care!!!

    ReplyDelete
  4. pehle khuda ka glow kar le baad me humhara karna .....

    ReplyDelete